Friday, February 17, 2006

EK hi Khwab

Ek Hi Khawab, Kai baar Dekha hai Maine,
Tune saree mein uras li hai,
Chabbiyan meri ghar ki.
Aur chali aayee hai, Bas Yunhi
Mera haath Pakad kar.
Ek Hi Khawab, Kai baar Dekha hai Maine,

Mez par phool, sajate hue, Dekha hai kai baar,
Aur bistar se, Kayee baar jagaya tujhko
Chalte Phirte tere kadmon ki
Vo Aahat bhi suni hai.
Ek Hi Khawab, Kai baar Dekha hai Maine.

Gungunate hue, nikli hai, Nahake jab bhi
Aur apne, bheege hue,
Baalon se tapakta Pani.
Mere chehre pe chitak deti hai.
Ek Hi Khawab, Kai baar Dekha hai Maine

Tash ke patto pe ladti hai, kabhi kabhi khel mein mujhse.
Aur kabhi ladti hai, aise ke bas khel rahi hai mujhse

Aagosh mein nanhein ko liye
Ek Hi Khawab, Kai baar Dekha hai Maine.

Aur janti ho ____, Jab tumhara Yeh khawab Dekha tha.
Apne bistar pe Main us waqt, Pada JAAG raha tha.

9 Comments:

At 4:16 AM, Blogger Aurora said...

jaagte hue khwab [:o]

 
At 4:16 AM, Blogger Aurora said...

jaagte hue khwab [:o]

 
At 6:44 AM, Blogger  Raja said...

Vo Ahaat bhi suni hai

Aahat

 
At 10:27 AM, Blogger Saras said...

@Rose: tumne kabhi nahi dekhe kya jaagte huye khwab [:o]

@Raja: corrected
thanks [:)]

 
At 3:00 AM, Blogger Kanupriya said...

Aaj-kal khwaab dekh-dekh kar hi jaag rahe ho kya? :-o

 
At 3:57 AM, Blogger Athena said...

tum aajkal zyaada hi jagte hue khwaab dekhte ho kya baat hai ;))) lagta hai nowadays luv is in air :DD

 
At 4:00 AM, Blogger Aurora said...

m not day dreamer [8)]

 
At 4:39 AM, Blogger Saras said...

ye lines meri nahi hai
tum logon ne ye suni nahi thi kya??
:o

 
At 1:45 AM, Blogger Samyak said...

aer kiski lines hai woh to leekha karr na ...
sahi hai !! [:)]

 

Post a Comment

<< Home