Agar Ek Baar Hota
Yeh naa thi humaari kismat ke wisaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yahi intezaar hota
[ wisaal-e-yaar = meeting with lover ]
Tere waade par jiye hum to ye jaan jhoot jaana
Ke Khushi se mar na jaate agar aitbaar hota
Koi mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
Ye Khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota
[ teer-e-neemkash = half drawn arrow, Khalish = pain ]
Huye mar ke ham jo ruswa, hue kyun na Gharq-e-dariya
Na kabhi janaaza uthata, na kahin mazaar hota
[ Gharq = drown/sink ]
Kahoon kisse main ke kya hai, shab-e-Ghum buri bala hai
Mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
~Ghalib
7 Comments:
achchhe sher hain :-)
tumne likhe? :-p
post ke last me likha hai ki kisne likha hai
sahi hai .. again !!
yeh wakiye ghalib ke sher hain
achchha hua jo likh diya, mujhe to laga tumne likhe! :-p
This comment has been removed by a blog administrator.
@Megs: haan gaalib ke hi hain par bas thode hindi words daal diye hain :)
@Kanu: achchha hua jo likh diya, mujhe to laga tumne likhe
hum aap jaise talented kahan
:)
Post a Comment
<< Home