Monday, January 30, 2006

Maut

Maut tu ek kavita hai

Mujhse ek kavita ka waada hai milegi mujhko
Doobti nabzon me jab dard ko neend aane lage
Zard sa chehra liye chand ufak tak pahunche
Din abhi paani me ho, raat kinare ke kareeb
Na andhera na ujala ho, na aadhi raat na din
Jism jab khatm ho aur rooh ko jab saans aaye
Mujhse ek kavita ka wada hai MILEGI MUJHKO

~ From Anand (Movie)

Friday, January 13, 2006

Usi Aam Ke Neeche

Us tanmayta me tumhare waksh me
Mooh chupa kar lajaate hue
Maine jo jo kaha tha
Pata nahi usme kuch arth tha bhi ya nahin

Aam-manjariyon se bhari hui maang ke darp me
Maine samast jagat ko
Apni besudhi ke kashn me leen karne ka
Jo daava kiya tha
Pata nahi wah sach tha bhi ya nahi

Jo kuch ab bhi is mann me kasakta hai
Is tan me kaanp kaanp jaata hai
Wah swapna tha ya yatharth
Ab mujhe yaad nahi

Par itna jaroor janti hoon
Ki is aam ki daali ke neeche
Jahan khade hokar tumne mujhe bulaya tha
Ab bhi mujhe aakar badi shanti milti hai

~Kanupriya Sangrah (Ansh-III)