Agar Ek Baar Hota
Yeh naa thi humaari kismat ke wisaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yahi intezaar hota
[ wisaal-e-yaar = meeting with lover ]
Tere waade par jiye hum to ye jaan jhoot jaana
Ke Khushi se mar na jaate agar aitbaar hota
Koi mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
Ye Khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota
[ teer-e-neemkash = half drawn arrow, Khalish = pain ]
Huye mar ke ham jo ruswa, hue kyun na Gharq-e-dariya
Na kabhi janaaza uthata, na kahin mazaar hota
[ Gharq = drown/sink ]
Kahoon kisse main ke kya hai, shab-e-Ghum buri bala hai
Mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
~Ghalib